Ab beemariyon se pareshan hone ki koi zarurat nahin kyunki hum pesh kar rahe hain Madina Munawwara Sharif ka 100% khaalis tayyar karda Ajwa Powder jo de aapko jadoo, jinnat aur aseebzada beemariyon se mukammal nijaat. Pet aur jigar ke cancer ko roke, heart attack aur bypass se hifazat kare, mard aur khawateen ki zaahiri aur andaruni kamzori ka kamyab hal. Ajwa Powder 03102807431080751 Abdullillah Rabbil Aalameen Muqeem Salaat wa Salam Sayyidil Anbiya wal Mursaleen Amma Ba’d Billah Shaytan Nirrajeem Bismillahir Rahmanir Raheem Maula Salli wa Sallim Abada Habiibika Khayril Khalqi Kullihi Ya Rabbana Mustafa Balagh Maqasidana wa Habibi Za Muhafimi Imdad Kun Imdad Kun Az Be Gam Azaad Kun Deed-e-Deen Dunya Shaad Kun Ya Ghaus Dastagir Mushkilat-e-Bedama Al Madad Ya Peer-e-Ma Khuddi Ya Shah Jilan Khuddi Lillahi Noor-e-Ahmadi Taifel-e-Hazrat Dastagir Dushman Hove Taifel-e-Hazrat Dastagir Dushman Hove Taifel-e-Hazrat Dastagir Dushman Hove Ilahi Khair Gardani Biha Shah Jillani Shah Ast Hussain Baadshah Ast Hussain Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain. Nazreen, aaj 10 Muharram-ul-Haram aur hum 11wi Sharif ki shab mein daakhil ho gaye. 10 Muharram-ul-Haram ke din taala Pakistan mein Allah ke fazl-o-karam se khair-o-aafiyat se ikhtitam pazeer hua. Is par hum Allah ka shukr ada karte hain. Koi aisa dehshatgardi ka waqaya pesh nahin aaya, warna qaumi satah par dekhiye toh in dinon mein badi pareshani hoti hai, security ke intizamat aur ye sara kuch. Baharhaal, behamdillah taala aur hamara bhi 10 Muharram-ul-Haram ka din Allah ke fazl-o-karam se Allah ke zikr mein, durood-o-salaam mein, nazr-o-niyaz mein, fatiha dua mein aur aap sab ke liye duaen karte hue guzar gaya aur hum Huzoor Ghaus Pak Radiyallahu Ta’ala ki 11wi Sharif ki shab mein hum daakhil ho chuke hain, ya’ni aaj 11 Muharram-ul-Haram ki shab lag chuki hai. Shuhda-e-Karbala Ridhwan Ajma’een ke Isaal-e-Sawab ke liye Alhamdulillah Deewan Shah Karbala mein aap sab log maujood rahe aur bahut saare hamare student, hamare mureed, hamare shagird, ahle mohabbat, roohani betiyan, roohani behnen, sainkado ki tadaad mein afraad hain jinhone Bismillahir Rahmanir Raheem ke amal ko kiya. Usmein se kai log aise honge jinka amal aaj mukammal ho gaya hoga. Baaz logon ne amal-e-zikar kiya hai, Naad-e-Ali Kabeer kiya hai ya Dua-e-Haidari ka kiya hai, toh unka bhi amal aaj ka mukammal ho gaya. Bahut saare log woh hain jinhone Dua-e-Saifi Sharif ko padha hai teen din mein 8, 9, 10 Muharram-ul-Haram ko. Isi tarah Dua-e-Haidari ko padha hai, padha hai 8, 9, 10 Muharram-ul-Haram ko. Dua-e-Joshan-e-Kabeer bhi padhi hai bilhamdulillah taala, toh unka bhi amal aaj mukammal ho gaya. Maine aap sabki amal ki qubooliyat ke liye Allah Rabbul Aalameen.
ki bargah mein Panjtan Pak ke waseele se baad namaz Asar fatiha karte hue dher sari duaen ki hain ke Allah Ta’ala aap sabke amal ko apni bargah mein qubool farmaaye. Aap sabka padhna qubool farmaaye. Aap sabke zikr-o-azkaar ka noor aapke padhne ke mutabiq nahin balki apne mubarak namon ke mutabiq, apni shaan-e-shaan ke mutabiq aap sabko ata farmaaye aur mujhko iska ajr-o-sawab Rabbul Aalameen ata farmaaye. Meri hamesha kawish rehti hai koi bhi event ho, koi bhi aisa mauqa ho toh main ye sochta hoon ke logon ko kuch na kuch aagahi deni chahiye aur unki tarbiyat ka silsila rahe. Abhi toh ye hamara 19 din ka Mashallah amal maine 19 din tak bhi bataya hai aur 28 din tak bhi bataya hai. Kaseer tadaad mein afraad woh hain jo 19 din tak ka amal kar rahe hain aur kuch aise hain jo 28 din tak ka kar rahe hain. Main aapko ek baat bata doon, Insha’Allah Bismillahir Rahmanir Raheem ke amaal par Deewan Shah Karbala ki nisbat se Tariqia Ruhani Center Insha’Allah aapko itna mawad de dega ke aapke shoba-e-zindagi mein jo bhi halaat aapke guzarte hain, mushkilat hain, beemariyan hain, pareshaniyan hain, logon ka aapko tang karna hai, jadugaron ka baar-baar aapke upar palat ke jadoo karna hai, bachchiyon ke rishton ke mamlaat ho gaye, ghar mein na-ittefaqi ho gayi, Insha’Allah meri aane wali videos ye toh abhi live program chal raha hai toh videos upload nahin ho rahi, Insha’Allah aane wali videos mein aap bahut zabardast amaal dekhenge aur Insha’Allah Bismillahir Rahmanir Raheem ke kuch Qahri Amal bhi aapko bataayenge jisse aap dushmanon ke shar se khud bhi mehfooz rah rahen saken, apne ird-gird jo dushmanon se shikar log hote hain unse bhi bachen, toh Insha’Allah aapko bahut sara guide, bahut sara mawad aapko hamare channel par Insha’Allah milega bashart ye ke aap videos ko watch karte rahen, channel se jude rahen. Allah Ta’ala aap sabko Bismillahir Rahmanir Raheem ki barkatein ata farmaaye. Aaj 10 Muharram-ul-Haram hai aur 10 Muharram-ul-Haram ka woh din hai jab waqaya-e-Karbala runuma hua. Waqaya-e-Karbala ek azeem waqaya hai aur ye Haq-o-Baatil ka muqabla hai aur ye sabr-o-istaqlal ka azam muzahira hai. Aur waqaya-e-Karbala log hamare khateeb hazrat ya naatkhwan hazrat par jab stage pe ya comparing karne wale hazrat jo hote hain woh is tarah bayan karte hain ke Imam Ali Maqam Imam Hussain ko Na’oozubillah aur unke rufqa ko aisa majboor ya lachar karke pesh karte hain. Aisa bilkul bhi nahin hai. Agar aap waqaya-e-Karbala ko aap dekhiye toh waqaya-e-Karbala humko muashare ke sunheri usool bhi sikhata hai, humko khandani system mein kis tarike se lekar chalna hai ye bhi sikhata hai aur waqaya-e-Karbala na kufr aur shirk ki kuf.
Kufr aur Islam ki jung nahin thi, waqaya-e-Karbala Haq aur Baatil ki jung thi. Aap Imam Ali Maqam Imam Hussain zalim ke khilaf khade hue the. Zalim ke khaak par aapne bayat nahin ki thi. Faasiq aur Faajir sharabi zaani shakhs jo Yazeed Paleed tha, uske haath par aapne bayat nahin ki thi. Ye baat hamesha yaad rakhna chahiye. Is waqaye se humko kya dars milta hai? Kya hum do dege langar ki banakar ya khichde ki dege banakar ya char jug sharbat banakar fatiha padh den toh ye Hussaini jo mission tha woh pura ho gaya? Imam Ali Maqam Imam Hussain ki qurbani ka jo maqsad tha woh pura ho gaya? Imam Ali Maqam ne jo apne bhatije, bhanjon, bhaiyon aur bachchon ko shaheed karwaya, nanhe Ali Asghar Hazrat Ali Asghar jo cheh maah ke bachche the jo shaheed hue, jo phir Yazeed ke darbar mein jo mamla biwiyon ke saath hua, ye jo itni badi Nawasa-e-Rasool ki qurbani thi jis qurbani ko tareekh kabhi faramosh kar nahin sakti toh kya Hussaini hone ka ye maqsad hai ke hum fatiha karke langar kar den? Nahin, ye ek rasm-e-mohabbat. Maqsad kya tha? Woh kehte hain Sardar ke Imam Ali Maqam Imam Hussain ne sar toh de diya, sar apna de diya, shahadat ko qubool kar liya, apni aulaad ka sar bhi de diya, apne bhatijon, bhanjon, bhaiyon ka sar bhi de diya, magar aapne Yazeed ke haath mein apna haath nahin diya. Baatil ke haath mein apna haath nahin diya. Jhoote kazaab ke haath mein apna haath nahin diya. Ek zalim hukmuran ko aapne tasleem nahin kiya. Zulm ke khilaf aap khade hue the kyunki aap ye jante the ke Islam adl-o-insaaf ka nizam lekar aaya hai, is Islam zalim aur zulm ke khilaf baat karta hai. Agar aaj maine Nawasa-e-Rasool ne agar Yazeed ki bayat kar li toh kal Qayamat tak ye system chalta rahega aur log zalim hukmurano ko qubool karte rahenge. Toh Hussainiyat is baat ka naam nahin hai aap roen, peeten aur aansu baha len, do naaten padh len, do kalam padh len, do glass sharbat bant len, char dege bana len, ye Hussainiyat hogi? Nahin. Asal Hussainiyat is cheez ka naam hai ke jab zalim aur zaabir hukmran musallat ho toh unke khilaf aapne alam buland karna hota hai, aawaaz uthani hoti aur unke haath mein haath nahin dena hota, unko jaakar vote aur parchi nahin de deni hoti hai jo baad mein Rasool-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke deen ko dhaane ki koshish karen, Huzoor ke gustaakhon ke mu’awin-o-madadgar ban jaayen, Huzoor ke ghulamon par zulm karen, jo masaajid se azanon ki aawaaz ko past karwayen, aise hukmurano ko vote nahin diya jaata aur kabhi bhi kisi ki do achhi baton pe mutaasir nahin ho jaata. Aap waqaya-e-Karbala ke in pehlu par bhi toh ghaur karen ke jo Yazeedi lashkar tha woh Imam Ali Maqam Imam Hussain ke peeche unhone namazen bhi padhi hain. Woh namazen bhi padh.
te the, woh azan bhi dete the, woh durood-o-salaam bhi padhte the. Namaz mein usi Aal-e-Mustafa par durood bhi padh rahe hain, magar usi se jung bhi kar rahe hain, unhi ko qatal shaheed bhi kar rahe hain, un par zulm bhi kar rahe hain, sitam bhi kar rahe hain, sab kuch kar rahe hain unke saath magar namaz bhi padh rahe. Hamare yahan kya ajeeb chakkar hai? Kisi hukmuran ne do nare laga diye phir uski tamam khataein, tamam gunahen, tamam ghaltiyan maaf ho jayen? Badbakht kahe ke main main kaun sa hoon, kiska sipahi hoon? Woh kya lagaya tha Imran Khan ne nara main Ummat-e-Muslima ke mujahid kiya wahan pe jaakar ek chhoti si taqreer ki. Uske baad Huzoor ke ghulamon ke khilaf, deen ke khilaf, namoos-e-risalat ke khilaf kya kuch nahin kiya aur log aaj bhi kehte hain nahin ji woh hero hai Ummat-e-Muslima ka leader hai. Toh qaum ka jab ye mayaar ho jayega na, qaum ke jab ye halat ho jayenge aur qaum ki jab aisi soch ho jayegi toh aise hi zalim hukmuran hum par musallat honge. Hussainiyat is cheez ka naam hai ke aapki aulaad shaheed hoti hai ho jaye, aapke bachche, bhatije, bhanje shaheed hote hain ho jaye, aap khud shaheed hote hain ho jaye magar baatil ke haath mein haath na de, baatil ki himayat na kare, jhoote ki himayat na kare, baatil ke haq mein kabhi vote na de. Huzoor ke deen ke dushmanon ke khilaf Huzoor ke deen ke dushmanon ka saath na de balki unke khilaf khade ho jaye ya jo log unke khilaf khade ho unke mu’awin-o-madadgar ban jaye. Jaise ke Karbala ke maidan mein Hazrat Hur Radiyallahu Ta’ala Anhu ne kiya tha. Imam Ali Maqam Imam Hussain ke mu’awin-o-madadgar bane aur Karbala ke maidan ke pehle shaheed Hazrat Hur aur jannat ke haqdar ho gaye. Ye baat yaad rakhiye. Sirf ye nahin hai Hussainiyat ya ye nahin hai Ahle Bait ki mohabbat. Main ye bhi kahunga saath mein ke aap wazaif padhte rahen aur tasbeeh ghumate rahen aur jab baat aa jaye nizam ki, jab baat aa jaye Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ke laye hue deen ke naafiz karne ki, jab baat aa jaye Azmat-e-Mustafa ki, Azmat-e-Deen ki, Nizam-e-Mustafa ki, toh hum phir khade ho jaye Allah na kare Yazidiyon ki saff mein, munafiqon ki saff mein ya zalimon ki saff mein aur hum phir ye bhool jayen ke jo Huzoor ke nizam ke liye jaddojehad karne wale log hain, agar ye kamzor hain hum unke saath kyun na khade ho. Hum khade unke saath. Imam Ali Maqam bhi toh 72 the na? Aap ladne thodi gaye the, jihad karne thodi gaye the, jung karne thodi gaye the. Jung karne jo shakhs jaata hai woh bachchon ko aur aurton ko thodi leke jaata hai. Magar aapne jab dekha ke ab ye baat nahin samajhte toh aapne kaha main bayat nahin karunga. Woh thode the magar aur unke saath woh kamyab ho gaya toh yahan bhi logon ka yehi alam hai. O yaar ye toh abhi.
Aaye hain, ye toh Nizam-e-Mustafa ki baat karte hain toh yahan par kaise hoga? Yahan ka toh nizam. Are bhai, hoga ya nahin hoga tum kiske saath khade ho ye bata do. Hatta Yumezzal Khabisa Tab, sirf tayyab logon ke saath ho ya khabeeson ke saath ho? Ye Hussainiyat hai. Ye Hussainiyat hai hi nahin ke aap langar fatiha kar den, Imam Hussain ki mohabbat ka naam len aur zalim hukmurano ko jaakar vote de den, zalim shaitanon ke saath khade ho jayen, unki saffon mein daakhil ho jayen, unke jalse julooson ko kamyab kar den chawal ki platetion ke upar. Samajhdar log samajh rahe honge ke main kya kar raha hoon, kya keh raha hoon. Ye wahi faasiq log hain, ye wahi faajir log hain aur in logon ka bhi taalluq usi Yazeedi tole se hai jo log Islam ke khilaf kaam karte hain. Main unki baat kar raha hoon, jo log deen ke khilaf kaam karte hain main unki baat kar raha hoon, jo log ahle deen par zulm karte hain unki baat kar raha hoon kyunki humein toh hukm hai ailaan-e-azan dene ka na toh hamara kaam hai haq aur sach ki baat bilkul wazeh. Toh Hussainiyat is baat ka naam hai Karbala ka maidan, Karbala ka waqaya, Shahadat-e-Imam Ali Maqam, Shahadat-e-Imam Hussain aur aapke rufqa, aapke saathiyon ki, aapke sahibzadon ki, aapke bhatijon ki, aapke bhaiyon ki shahadat jismein Hazrat Abu Bakar bin Ali, Umar bin Ali, Usman bin Ali Radiyallahu Anhum Ajma’een shamil hain jo Maula Ali Mushkil Kusha ki doosri zaujiyat se aulaad thi jo aapke bhai hain, inka naam log lete nahin hain. Toh in sab ki shahadaton ka maqsad ye hai ke zulm ke khilaf khade hona ya zulm ke khilaf jo khada ho uska saath dena aur jo log aisa nahin karte main nahin samajhta ke woh Hussaini kehlaane ke layak hain. Allah Ta’ala samajh ata farmaaye. Imam Ali Maqam Imam Hussain Radiyallahu Ta’ala Anhu ke jo hain na khoob khoob apne gharon mein isaal-e-sawab kijiye. Aaj 11wi shab bhi hai, Sarkar Ghaus Pak ko bhi isaal-e-sawab kijiye. Huzoor Ghaus Pak Imam Hasan Mujtaba Radiyallahu Ta’ala Anhu ki aulaad se hain, aap Hasani hain. Aap Radiyallahu Ta’ala Anhu ki badi azeem shaan hai. Toh aaj hum baat kar rahe hain aapko jo batane ja rahe hain, ek jo hai Panjtan Pak ka Qahri Jalali Amal aapko batayenge, doosra Bismillahir Rahmanir Raheem ke Adadi Naqsh ki Zakat. Dekhiye, agar aap log zabardast Mu’alij banna chahte hain aur Bismillahir Rahmanir Raheem se istefada hasil karna chahte hain toh aap amal toh kar rahe hain, chahe 19 din ka, 28 din ka ya 10 din ka. Agar aap koshish karke Bismillahir Rahmanir Raheem ke Adadi Naqsh ki aap zakat ada kar lete hain, toh jo ki bahut aasaan hai, koi mushkil nahin hai, bahut aasaan hai aur 40 din mein ye zakat aapne ada karni hoti hai. Phir iske baad is naqsh se aap har qism ke marz ka ila.
aj kar sakte hain, har qism ke masail ke liye de sakte hain, har qism ke jadoo, jinnat ke ilaaj ke liye de sakte hain. Isliye naqsh ki bhi, kyunki baaz log hote hain na, woh aate hain aapke paas toh unko jo hai, chalo Imam Ali Maqam Imam Hussain ke naam par jo log bhi super chat kar rahe hain Allah unko barkat de, toh aapke paas bahut saare log aise aate honge jo log ilaaj mu’alaja karte hain, jab tak aap unko ta’weez na de den toh itminan nahin hota. Isliye main aapko ye kehna chahta hoon ke aap Bismillahir Rahmanir Raheem ke aamil toh ho gaye, ab iske agar naqsh ke bhi aap aamil ho jayenge toh isse aapko bada fayda hoga ke ba-aasani aap logon ka ilaaj mu’alaja bhi kar sakte hain aur logon ko jo hai naqsh denge, jab ta’weez denge toh log bade mutma’in bhi ho jayenge aur Insha’Allah aane wali videos mein main aapko Bismillahir Rahmanir Raheem ke kuch aise nuqoos bhi ta’leem karunga aur aise amal bhi ta’leem karunga jisse aap log amal karke jo log abhi amal nahin kar paye toh woh baad mein bhi amal karke Alhamdulilah Azzawajal iske aamil ban jayenge. Toh aayiye Bismillahir Rahmanir Raheem ke adadi naqsh ka main tareeqa bata raha hoon. Nuqosh ki badi ahmiyat hai, ek baat yaad rakhiye. Nuqosh likhte waqt kuch ehtiyat’en badi zaruri hoti hain aur un ehtiyat’on ko jo log baja laate hain toh unko pura-pura fayda hota hai, unko pura-pura fayda hota hai aur nuqosh ka ye naqsh jo hota hai ta’weezat jo mere channel par ye bahut sari videos aisi maujood hain jo log bid’ati kehte hain ya ta’weezon ka inkar karte hain ka jawab bhi Ilm-e-Jafar ek ilm hai aur uske mutabiq aadad ko nikal kar aur naqsh pur karne ke tareeqa-e-kaar hamare akabir buzurgon ne likha hai, humne nahin nikala hai. Ye ta’weez jisko hum kehte hain jisko hum naqsh keh rahe hain ye humne nahin nikala hai. Imam Jafar Sadiq se bhi sabit hai. Ta’weez toh Rasool-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se bhi sabit hai jo aapne Hasan aur Hussain ke galon mein dala tha. Ye jo naqsh hote hain na ye buzurgon ne likhe, Imam Ghazali Rahmatullahi Ta’ala Alaih jaise buzurg, Imam Jafar Sadiq Radiyallahu Ta’ala Anhu jaise buzurg jo hai inhone in nuqosh ko nikala, is ilm ko ijaad kiya. Ye ilm muntaqil hota raha, phir buzurgon ke tajurbon se guzra woh phir tajurbaat hum tak pahunche. Jis tarah se aajkal medical science tajurbaat karne ke baad kisi bhi ek formula ko fix kar deti hai ke ye formula, ye medicine is masle ke liye hai tajurbe ke baad. Isi tarah tarah Ulama-e-Ruhaniyat, Ahle Ilm, Ahle Tasawwuf aur Ulama-e-Ruhaniyat aur Aamileen ke tajurbaat se jo cheez guzarti hai woh usko phir fix karte hain ke is cheez ko iske mutabiq humne mu’assir paya. Phi.
r us mein jo aayat, jo ism hote hain uski taaseeraat ko dekhte hue, un haroof ki taaseeraat ko dekhte hue, woh woh phir is baat ko naqal karte hain ke ye ism is liye hai, iske adad itne hain, ye kaam is adad mein is tarah karta hai. Phir un saaton ko ahle ilm mein laate hain ke kis sa’at ke saath iska harf aur iska adad milta hai phir woh bata. Toh pura ye ek falsafa hai, ye ek ilm hai. Koi isko mazaak nahin samjhe. Jisko samajh nahin aata toh woh nahin samjhe, jisne woh nahin samjhe. Jinhone samajhna hai hum toh unke liye bata rahe hain, unko mutmain kar rahe hain, unke ilm ko badha rahe hain ke aapne kabhi bhi jo log jinko khud kuch karne ka shauq nahin hota na woh aapko bhi karne nahin dena chahte, bas ye baat zehan mein rakhen. Humein toh hamare buzurgon ne jo tareeqa-e-kaar bataye hain hum un tareeqon pe chalte hain. Comment mein aap Bismillahir Rahmanir Raheem likhte rahen aur Shah Ast Hussain Baadshah Ast Hussain ye likhte rahen. SubhanAllah aur share bhi karen. Ab bhai 11wi wali nisbat se triple one aa gaya, haan 111. Toh is liye nuqosh ka jab bhi naqsh likhen, aayiye ehtiyaten bata raha hoon. Jab bhi koi ta’weez ba-wazu rahen, tawajjo ke saath, yaqeen-e-kamil ke saath aur jis aayat ya jis dua ka bhi naqsh likh rahe ho toh usko wird mein rakhen, usko wird mein rakhen aur us par dam karke phir aapne agar jisko bhi dena hai woh aap den. Doraan-e-zakat aap baithte hain aur aap ek sat sar kheenchte hain, yaani lakeer kheenchte hain. Wazu karke tawajjo ke saath aap baith gaye aur aapne lakeer kheenchhi toh us nuqosh ke, us ta’weez ke jitne bhi muqillaan hain us harf ya us aayat jiske aap naqsh bana rahe hain woh sab ke sab active hokar aapki taraf mutawajje ho jaate hain. Ye Ulama-e-Ruhaniyat farmate hain. Woh aapki taraf mutawajje ho jaate hain. Jis tarah jab aap amal padhte hain, jab kisi wazeefe ki zakat ada karte hain, jaise farmaya gaya jo Saifi Sharif padhta hai toh 70 hazar farishte, 70 hazar jinnat, 70 hazar malaika aur deegar makhlooqaat is padhne wale ki taraf mutawajje ho jaati hai. Isi tarah jo shakhs nuqosh ki zakat ada kar raha ho toh woh uske muqillaan bhi us naqsh ehtiyaari ki taraf mutawajje ho jaate hain. Isliye naqsh ko bilkul ain mutabiq chaal ke uske tareeqa-e-kaar ke mutabiq likhna chahiye. Ye nahin ke aapne amal ke liye toh bada ehtamam kar liya aur ta’weez likhne ke liye koi ehtamam nahin. Main jab Naqsh-e-Hararah ki zakat ada karta tha baad namaz Asar tha magar us dauran main apne hujre mein, masjid ka Imam tha toh main kisi ko bhi hujre mein aane nahin deta tha. Apne hujre mein main jab nau ke naqsh ki bhi, 15 ke naqsh ki bhi zakat ada kar raha tha saath hi mein main Hararah ke naqsh ki bhi zakat ada kar raha tha. Kisi ko aane nahin de raha tha, pure usool aur qawanin ke mutabiq.
Zakat ada ki aur usi ke chaal par jab humne naqsh likhkar dena shuru kiya us ek naqsh-e-harara hi thakathak kaam karta tha. 20 saal field mein hone wale hain. Aap mere astane par chahe Karachi mein aayen chahe Mindra mein aayen, kahin bhi mujhse milen toh zyada tar jo main peene ke liye naqsh aur pehenne ke liye istemal karta hoon woh Naqsh-e-Saifi karta hoon kyunki maine uski zakat ada ki. Koi bhi naqsh jab aap likhte hain, zakat ada kar lete hain aur jab uski dete dete hain, dete rehte hain ya usko likhte rehte hain taaseer paida hoti hai. Maine toh ye bataya tha ke ek aamil ko kis tarah ka hona chahiye toh aap bada ehtamam karen. Beta, aapke maine iski bhi tarbiyat se pehle Bismillah ki tarbiyat class mein bhi maine samjha diya tha. Toh jab aap aapke wajood se, aapke jism se, aapke qaulo-fail se, aapke huliyya se likhna lagna chahiye ke ek aap roohani ilaaj karna. Main aapko ek baat bataun jab hum naye-naye ilaaj karna mu’alaja humne shuru kiya tha seekhna toh Dawat-e-Islami mein the, chauthe paanchwein darje ka talib-e-ilm tha khaastun ka. Toh chhota aisa hara color ka bag hota tha, hamare bag mein har time ta’weez, pen, pad, Madani Pad us time aata tha Madani Pad ye maujood hota tha. Pehenne ke ta’weez, jeb mein rakhne ke ta’weez, ink pen. Agar ink se likhte, zafran ke pen, nahaane wale ta’weez jis ink se likhte the, red se likhta tha woh red ink ka pen ye maujood hota tha. Ink ki bottle tak bhi maujood hoti thi, ya’ni hamari dukan hamare saath. Shanakht banani hai na? Visiting card apne saath, koi number card de diya, tasbeeh ek hi tasbeeh achhi si apne paas. Ye saman wallet ke chhote se uske andar. Ye maine apne ustaad Mushtaq sahab ko dekh ke seekha tha. Woh pouch ke andar chhoti kainchi bhi ta’weez kaatne ke liye, kisi mein maangni nahin pade. Dawat-e-Islami ka ijtima hua halqon ke baad aakar hotel par agar baithe kuch milne wale hain, arey Hazrat ye masla hai woh masla. Achha bhai ye lo ta’weez, ye ta’weez pehenne ka le lo, ye peene ko main aapko ta’weezat de rakha hoon toh aap hairan ho jayenge jo mere paas ta’weezat rakhe hue main kitab uski bana raha hoon, banaunga Insha’Allah. Socha hua hai, niyyat ki hoon. Ye koi achha banane wala apna mil jaye jo deen ko bhi samajhta ho, roohaniyat ko toh us kitab ko hum shaye karenge. Toh ta’weezat jo hai de dena usi time likh kar dena peene ka de dena. Bhai Naqsh-e-Saifi, Naqsh-e-Shifa likh ke de diya peene ka kisi Musalman bhai ki takleef door kar rahe hain na? Sawab ka kaam hai na? Husn-e-Niyyat rakhoge toh barkat aayegi na? Husn-e-Niyyat rakhenge. Khair khwahi hai na ye bhi khair khwahi hai na? Abhi main jo aapke saath program kar raha hoon, itna kuch aapko bata raha hoon ye khair khwahi hai na?
na ye sadqa-e-jariya hai na? Main toh is niyyat se baitha hua hoon aur momin ki niyyat uske amal se behtar hoti hai. Toh aapke huliyye se, waza qata se ye lagna chahiye ke ye bhai roohani ilaaj mu’alaja karna jaanta hai ya ye seekh raha hai ya isko aata hai. Phir aap apna mind banaoge na? Logon ko khud hi pata. Taskheer ke wazifon ki zarurat maine nahin kiya aaj tak koi taskheer ka wazifa, koi nahin kiya. Khud hi logon ko pata chal gaya. Pehla jinnat ka mareez utara tha khud hi logon ko pata chal gaya. 10, 15, 20 log jinnat specialist mein mashoor ho gaya, khud hi ho gaya. Aur Alhamdullilah Allah ke fazl-o-karam se apne main jitne logon se mila hoon jinnat mein maine apne se zyada mahir nahin dekha kisi ko kaam mein. Log ghabra jaate hain, dar jaate hain, kaam nahin karte hain jinnat ke mareezon se. Peechhe hat jaate hain, jaan chura lete hain. Agar mareez theek nahin hota do chaar chhe hafton mein toh thak kar haar jaate hain, peechhe ho jaate hain. Nahin apna kaam end tak pahunchao baqi taaki Rab ke dast-e-qudrat mein chhod do. Phir koi theek hua nahin hua hamare haath mein nahin hai. Hum mutmain, mafiz zameer mutmain. Toh aap log bhi ye kijiye. Toh jab ta’weezat se baat chali thi tab ta’weez ki bhi zakat ada karenge toh bade ehtamam se karenge. Aayiye Anas beta woh rough naqsh chala do. Roughly kaat kar phir main Insha’Allah hum ye naqsh bhi tehreer karwa ke aaj hum hazrat ka naqsh upload karenge abhi page par Facebook page par wahan se aap le lijiyega aur uske baad hazrat ka jo amal maine bataya Bismillahir Rahmanir Raheem Haq Ya Jibrail Ya Mika’ilu Ya Israfilu Ya Izra’ilu ye bhi likha hua daal denge toh dobara video aap ek dafa watch kar lijiyega. Ek program ko agar aap jo live dekhte hain na mera ek mashwara hai jo log seekhne ke shauqeen hain woh ek dafa dobara tanhai mein baithkar tawajjo se dekha karen, pure program ko ek dafa dobara tawajjo se dekha karen aapko bahut kuch samajhne ko, seekhne ko milega. Aayiye Bismillah ke Adadi Naqsh ki zakat ka ek khaas tareeqa hai. Nauchandi Itwar ya Jumerat ko aapne baad namaz Isha 5000 martaba Bismillah is tarah padhen: Ajeeb Ya Jibrail Bih Bismillahir Rahmanir Raheem. Amal pura hone ke baad agar waqt ho toh so jayein aur subah ki namaz ke baad 99 naqsh safed safed kaghaz par kaali syahi ya’ni kale pen se aapne likhna hai aur inhain aate ki goliyan banakar dariya mein dalen. Is tarah pure 40 din karen aur doraan-e-chilla tark-e-haywanat aur parhez-e-jalali aur jamali karen. Chilla pure hone par is naqsh ka aamil ho jayega. Iske baad kisi bhi mareez ko kisi bhi masle ke liye saat martaba Bismillah padhkar dam kar dega toh ba-fazl-e-khuda wand taala use shifa hogi aur agar.
Kisi ko yeh naqsh de dega toh Insha’Allah woh mareez bhi sehatyaab hoga. Bilkhusus yeh naqsh jo hai, adadi jo naqsh hai dil ke mareez ke liye bada ifaqa karta hai. Ab karna kya hai main aapko batata hoon. Abhi jaise Muharram ka mahina khatam hoga, aage Rabiul Awwal ka mahina aa raha hai. 99 naqsh likhne hain. Pehli nau chandi Jumerat ko raat ko aapne 5000 martaba wuzu karke Bismillahir Rahmanir Raheem padhna hai. Bihakk-e-Ajeeb Ya Jibrail Bihaq Bismillahir Rahmanir Raheem. 5000 martaba padh li, raat so gaye. Subah uthkar Fajr ki namaz ke baad 99 nuqosh ko likhna hai aur pure 40 din tak 99 nuqosh yeh adadi aapne likhne hain. 99 naqsh hum live ja rahe hain beta, 99 naqsh aapne likhne hain. Toh jab aap 99 naqsh likh denge 40 din tak mukammal parhez ke saath, kiske saath? Mukammal parhez ke saath, tark-e-haywanat, jalali-o-jamali ke saath 40 din tak yeh naqsh aapne likhna hai. Is tarah is naqsh ki zakat ada ho gayi aur aap is naqsh ke bhi aamil ho gaye aur Bismillahir Rahmanir Raheem ke toh already aap aamil hain. Aapke zehan mein sawal aayega kya rozana 5000 martaba Bismillahir Rahmanir Raheem padhni hai? Toh janab ji bilkul, rozana isi tarah raat ko Ajeeb Ya Jibrail Bihaq Bismillahir Rahmanir Raheem 5000 martaba padhenge aur subah uthkar 99 naqsh iske likhenge. Yeh 40 din ki zakat ada ho gayi mukammal tark-e-haywanat, jalali-o-jamali ke saath. Insha’Allah uske baad aapne jab bhi kisi ko saat martaba koi mareez aa jaye Ajeeb Ya Jibrail Bihaq Bismillahir Rahmanir Raheem saat martaba padhkar dam kar de Insha’Allah woh mareez theek ho jayega. Kisi ko yeh naqsh de denge shifayabi ke liye theek ho jayega. Muqaddamat ke liye yeh likha hua hai. Muqaddamat ke liye naqsh de denge seedhe haath mein pehen le, kamyabi ho jayegi. Ghar ki hifazat ke liye de denge deewar pe laga de, kamyabi ho jayegi. Khair o barkat ke liye de denge galle mein rakh le, ghaas zyada hai dukaan mein, karobar mein kamyabi ho jayegi. Aur bhi is naqsh ke bahut zyada fawaid hain magar khaas taur par jo log dil ke mareez hote hain buzurgon ne farmaya unko agar yeh naqsh diya jaye peene ke liye, pehenne ke liye toh unko bahut zyada ifaqa karta hai. Agla sawal yeh hai ke jo log yeh kahen ke hum 5000 martaba Bismillah roz nahin padh sakte kya hum rozana naqsh ki zakat ada kar sakte? Ji bilkul, agar aapne Bismillahir Rahmanir Raheem ka amal kar liya hai aur zakat ada kar li hai chahe 7786 baar, chahe 19000 martaba ya 4444 martaba 28 din ki ya aap ada kar rahe hain toh abhi bhi aap is naqsh ki 99 martaba parhez ke saath naqsh likhkar aap zakat ada kar. Sirf naqsh likh lijiye, sirf naqsh likh lijiye magar nau chandi Jumerat se shuru karenge. Agle.
Mahine ki nau chandi Jumerat ya pehli Itwar isse aap shuru karen. 40 din ka mukammal parhez karen. Agar 5000 baar Bismillah nahin bhi padhte koi harj nahin hai kyunki aapne Bismillah ka amal kar liya hai. In nuqosh ki aap zakat ada kar lenge toh aapke paas ye naqsh ki quwat bhi aa jayegi. Dekhiye ye naqsh jo likhna hai na woh Aatishi Anas beta, aapne lagaya naqsh? Naqsh jo likhna hai woh Aatishi Chaal se likhna hai, theek hai? Pehle dekhen 179 ya’ni ekam 90 hai phir 190 aa gaya phir 191 aa gaya phir 92 aa gaya, 93 aa gaya, 94 aa gaya, 95 aa gaya, 96 aa gaya, 97 aa gaya, 98 aa gaya, 99 aa gaya, 200 phir 2001, 2002, 2003, 2004 ya’ni kahin bhi koi qasar nahin hai. Ab jab hum in aadad ko calculate karenge toh har taraf se barabar aadad aayenge toh kahin se bhi koi bhi is mein qasar nahin hai. Ye Adadi Naqsh hai. Iski aap Aatishi Chaal se likhkar zakat ada karenge. Jo log amliyaat jaante hain woh Aatishi Chaal ko samajhte hain aur jo log amliyaat nahin jaante toh woh naqsh dekhkar aap zara ghaur karen ke 79, 179, 1989 ka hai, 1990 ka hai, 1991 ka hai, 1992 ka hai, 1993 ka hai, 1994 ka hai, 1995 ka hai, 1996 ka hai, 1997, 98, 99, 2001, 2002, 2003, 2004 ka hai. Jab aap isko dekhenge toh aapko khaane samajh aa jayenge aur yehi Aatishi Chaal hai naqsh ki. Toh is tarteeb se aap naqsh ki zakat ada kar lenge. Ek dafa dobara repeat karta hoon jo log bhi Bismillahir Rahmanir Raheem ke naqsh ki zakat ada karna chahte hain, nau chandi Jumerat ko raat ko 5000 martaba is tarah Bismillah Sharif padhen wuzu karke tawajjo ke saath Ajeeb Ya Jibrail Bihaq Bismillahir Rahmanir Raheem aur phir subah uthkar naqsh likhna shuru karenge ke 40 din tak mukammal rozana 99 Adadi Naqsh likhne hain. Jab 40 din mukammal ho jaye toh aate ki goliyan banakar samundar mein, dariya mein, nahar mein daal den. Ye bhi ho sakta hai ke 10 din ke nuqosh ke aap aate ki chhoti-chhoti goliyan bana dal de phir 10 din baad dal de phir 10 din baad dal de. Roz ja ke toh dalna mumkin nahin hai. Pure 40 din tak tark-e-haywanat, jalali-o-jamali karenge. Jin logon ne Bismillahir Rahmanir Raheem ka amal kar liya hai agar woh ye chahte hain ke hum 5000 baar Bismillah na padhen sirf naqsh ki zakat de den toh woh 40 din tak naqsh ki zakat de sakte hain tark-e-haywanat, jalali-o-jamali ke saath. Kaali ink se naqsh ko likhna hai, kaali roshnaayi, kaali ink se likhna hai, black pen se, black pointer, black pen, black ink wale pen se aapne likhkar safed kagaz par naqsh ki Aatishi Chaal se zakat ada karni hai. Ye simple just ek tareeqa hai jo maine aapke saamne Adadi Naqsh ka bata diya. Ab aayiye doosra tohfa jo Ahle Bait ki nisbat se hum aapko Insha’Allah de rahe hain aur ye Amal Panjtan Pak hai, Qah.
ri Jalali yeh amal hai. Is amal ka main pura tareeqa screen pe le aaye mere mobile mein internet nahin ho raha. Mashallah ye aaj ye dikha rahe hain Anas bhai aaj ki hai ye visuals jo dekh rahe hain langar-e-Hussaini ye aaj jo hai Alhamdulillah humne mar hamare markaz Karachi mein bhi langar ka ehtamam kiya. Phir Islamabad mein ghar mein maujood tha toh yahan bhi humne kya kiya ke langar ke pack banwaye, pack banwakar maine bachchon ko Hafiz Anas Raza Qadri sahab aur Hafiz Sahibzada Hassan Raza Qadri sahab ko kaha ke aap logon mein taqseem karayen toh ye uske measures chal rahe hain ke ye taqseem karke aa gaye langar-e-Hussaini. Abhi bhi aap agar langar karwana chahte hain toh hamare idare ke jo tulba hain Alhamdulillah rozana maine Muharram-ul-Haram mein ye niyyat ki hai ke pure Muharram unko langar jo hai hifz ke tulba, dars-e-nizami ke tulba aur hamara staff unko jo hai langar-e-Imam Hussain Radiyallahu Ta’ala Anhu Zohr ke khane mein unko pesh kiya jaye toh aap ye visuals bhi dekh rahe hain Alhamdulillah yeh haan main bhi abhi dekh raha hoon pehle maine nahin dekha. Ye dekhiye gaadi se nikal nikal ke taqseem kar rahe hain. Allah Ta’ala qubool kare aur Allah barkat ata. Mu’azzam Qadri sahab bhi inke saath aaj toh ye Islamabad mein humne jo hai taqseem kiya Alhamdulillah Azzawajal aur badi khushi hoti hai jab khana kisi ko khilaya jaye toh khushi hoti hai. Huzoor Ghaus Pak farmate hain na aur buzurgon ne farmaya behtareen sadqa jo hai bhooke ko khana khila diya. Ya’ni khane ki taqseem. Abhi main ek video dekh raha tha Ghaza ke Musalmanon ke liye dua zarur kijiyega aur kal ki patti jo log Pepsi peete hain, Coca-Cola peete hain unko toh doob marne ka maqam hai unke liye ke kal ki maine news dekhi toh 47 logon ko Ghaza par Israeli bambari ki gayi aur log shaheed hue unmein woh log the jo camp mein khana jab taqseem ho raha tha woh khana lene ke liye aaye the. Aur ye Pepsi se aap ye jo bhi cold drink aap Israeli masnu’aat istemal karte hain na ye sara paisa aapke Ghaza ke Musalmanon ki shahadat aur unpar bambari mein istemal hota hai jo paisa Israel karta hai. Pien Pepsi? Nahin piyenge toh mar jayenge. Humein toh ghussa aa jata hai jaise hotel mein dekhte hain toh ghussa aa jata hai. Main motorway pe aa raha tha jab abhi family ke saath main bole paani hatao nahin toh hum aapke hotel se chale jayenge. Ek jagah hum khana khane ke liye aap apne andar jurrat paida karen mohabbat ke saath abhi ki baat hai hum khana khane gaye bachchon ke saath yahin ki baat hotel mein gaye maine unko kaha bhai khana khayenge aur paani jo hai humein Pakistani chahiye. Unhone kaha bhai Pakistani paani toh nahin hai. Waiter ko main.
Ne kaha toh aapki zimmedari hai aap mujhko laake dijiye main toh ye Nestle ka pani nahin lunga aur cold drink bhi agar hum lenge toh Pakistani hai toh woh bola haan woh hai. Maine kaha pani phir kyun nahin hai Pakistani pani bhi aa chuka hai phir Punjab mein toh kayi ek companies hain. Bola ji woh nahin hai. Woh thodi der baad gaye bola sir hum order de chuke the khane ka toh ye ma’ashrati baat hai na ye bhi thodi si honi chahiye. Zarurat ka pata chalna chahiye. Family mere saath thi aath afraad the toh unhone kaha pani nahin hai. Main thodi der baitha raha phir maine kaha yaar Nestle ka pani peena padega. Mulk bhi hamara, hotel bhi desi, koi McDonald’s, McDonald’s thodi, desi hotel, log bhi hamare, mulk bhi hamara hum bhi yahan hum apni marzi ka pani bhi inse nahin le sakte. Maine kaha ghar walon ko bola uthe ji humne order usko waiter ko bola hamara order cancel. Sir aap pani agar nahin la sakte woh keh rahe hain ke aap khud jaakar le aaye. Maine kaha main hum toh nahin jayenge aap lekar aaye. Kaha sorry pani toh nahin hai. Phir maine kaha theek hai hamara order cancel karen hum khana bhi nahin khayenge. Hum ab sab log dekh rahe hain wahan bhara hua hai. Maine kaha hum aise hotel par khayenge jahan par Pakistani pani milta ho, Pakistani cold drink milti ho. Ab main wahan se nikla bahar toh saamne aapko pata hai manager unke jo hote hain staff hota hai, unke bade bhi hote hain. Bola bhai itni badi family nikal rahi hai ye toh nuqsan hai. Mujhe bhi pata tha. Unke jo bade the head woh aaye bola sir kyun? Maine kaha aapke yahan par Pakistani pani nahin hai toh hum khana kyun khayen? Aapke waiter ko humne kaha hum Pakistani pani piyenge toh usne kaha ke bhai main toh nahin hai yahan par main nahin la sakta isliye hum ja rahe hain. Maine kaha sir sorry sorry hum ma’azrat chahte hain. Maine kaha aap mujhko yeh bataiye phir maine kaha ehtijajan maine kaha aap mujhko meri family gaadi mein baithi thi. Mujhe ye bataiye jab ye Pakistani hotel hai, Pakistani food hum kha rahe hain, aap Pakistani hain, hum Pakistani toh pani Pakistani kyun nahin? Aur itne log bhare hue the. Agar ye sab bolen toh Pakistani products bikenge. Phir maine unko kaha jab aap Pakistani pani rakhoge toh aapko us par profit bhi toh zyada aayega na? Toh unhone kaha sir sorry sorry aap aaye baithain main aapko mangwa ke deta hoon doosron. Mangwa ke humne kaha theek hai aap mangwa ke den hum baith jaate toh baab baith gaye toh apne andar jurrat paida karen. Haq aur sahi aur is baat ka apne ikhtiyar ko samjhen ke Ghaza ke Musalmanon ka jo haal ho raha hai usmein Musalman hukmuran bhi shamil hain. Abhi Iran ne itna kuch mara usko.
Israel ko, hum bhi us time Iran ki himayat hi kar rahe the. Theek hai jo kuch bhi ek baat hai jo ho raha hai so ho raha hai. Himayat chalo theek ho raha hai. Ghaza ke Musalmanon ke liye toh usne ek lafz nahin bola ke aap Ghaza par bhi bombari band karo warna hum missile daagenge. Pakistani hukmuran aaj credit le rahe hain ke humne Iran ke liye Trump ko raazi kiya muzakarat ke liye Israel ko bithaya. Tumne Ghaza ke Musalmanon ko chhod diya marne ke liye. Unke liye toh kuch nahin kar paye mein Army Chief abhi gaya toh woh Trump se baat karta na ke Ghaza par bhi bombari band karao. Ab toh mazloom Musalman hain na camp par aap bombari kar rahe ho, bachchon par kar rahe ho jo khana lene aa rahe hain unpar kar rahe ho, hospitals pe kar rahe ho. Ab toh khatam ho gaya na wahan se sab kuch. Toh bas Nawasa-e-Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki qurbani azam tar azam hai magar Palestine ke Musalmanon ki bhi qurbani kam nahin hai. Qayamat tak log inko bhi yaad rakhenge jo zulm aur sitam unhone bardasht kiya. Video bhi dekh raha tha Facebook pe aayi woh khane ke liye aise tadap-tadap ke line mein lage hue hain lene ke liye. Kya karen hamare hukmuran so rahe hain. Baharhaal Allah Ta’ala reham farmaaye aur humein shar se bachaye. Humein haq-go rakhe, haq walon ke saath rakhe. Aayiye yeh Amal Panjtan Pak Qahri Jalali ye amal hai aur jo shakhs bhi is amal ko karna chahta hai, aaj jo hamari transmission dekh raha hai usko is amal ki meri taraf se mukammal ijazat. Is amal ke fawaid ye hain ke agar aap is amal ke sahib-e-wird hote hain, aap is amal ko rozana padhte hain aur apne dushmanon se aur nazar-e-bad se, nazar aane wale na nazar aane wale dushmanon se bachne ki niyyat se padhte hain, jadugaron se bachne ki niyyat se padhte hain, jinnat ke hamlon se bachne ki niyyat se padhte hain toh ye amal Qahri Jalali aapki ghaibi taur par madadgar hota hai kyunki iske andar paanch Panjtan Pak ki azam hastiyan jo hain unka waseela aur unka wasta bhi shamil hai, unki sifaat ka bhi zikr hai. Maula Ali Mushkil Kusha Radiyallahu Ta’ala Anhu ki jo quwat jo taqat hai uska bhi zikr hai. Ye amal jitni tawajjo se, jitni mohabbat se padha jayega is amal mein fayda hoga. Main is amal ke wird ka tareeqa aapko bata raha hoon aur agar aapne iski mukammal zakat wagaira ada karni ho toh hamare idare se aap rujoo karenge. Ye main aapko wird ke do tareeqe bata raha hoon aur aap isko practice karke dekh lijiye aur agar aap isko apne wird mein rakhte jaise aap Hisbul Bahr ko rakhte hain, Hisbul Nasr agar padhte hain toh aapke dushman khud ba khud za’er hote jaate hain. Nazar aane wale na nazar aane wale sare dushman ya’ni jinnat bhi aur.
Insan bhi, jadugar bhi, aseeb bhi ye khud ba khud aapse door rehta hai. Aisi roohani quwwat aur roohani taqat aapke andar paida ho jaati hai aur sabse badh ke ye ke aap Panjtan Pak ki nazron mein aa jaate hain. Unki nazar-e-karam, nazar-e-inayat, nazar-e-shafqat aur mohabbat aapki taraf badh jaati hai. Hum toh unhi ka sadqa kha rahe hain unka karam toh hai hi hai magar jab aap ye padhte hain toh aapke andar unka qurb aapke andar mazeed badh jaata hai. Apna taalluq aapko waise bhi Ahle Bait se mazboot rakhna chahiye toh is amal ke wird ki main ijazat de raha hoon. Amal mein thoda padhta hoon aap sun lijiye aur ye tehreer bhi aa rahi hai hum isko achhi si post banakar bhi upload kar denge aur ye tohfa-e-ijazat hai sirf un logon ko jo aaj hamare saath transmission mein shareek hain ya jin logon ne Bismillahir Rahmanir Raheem ka amal kiya hai unko ijazat hai, iske alawa kisi ko bhi nahin hai. Jo padhega rujoo’at mein aayega. “Ya Qahiru Ya Ghayyur Ya Mar Adab Ya Murtaza Ali Madad, Madad Kun Madad Haram Hazrat Fatima Sayyidat Nisa Ahl al-Jannah wa Anal Hussain wa Anal Hasan wa Hussain Sayyadat Shababi Ahl al-Jannah Sallallahu Ala Khayri Sayyidina wa Mawlana Muhammad wa Ala Alihi wa Ashabi Ajma’een Rahmatuka Ya Arham al-Rahimeen.” Is amal ke do tareeqe hain. A’raab lagakar hum Insha’Allah isko upload karwa denge. Insha’Allah kal tak upload ho jayega. Aap agar is amal ko apne wird mein rozana 72 martaba rakhen, 72 martaba aur koi itna time nahin lagega isko 72 martaba padhen. Magar padhne ke do time hain iske. Ek hai Fajr ke baad, ek hai Zawal ke waqt mein, teesra time hai raat 12:00 baje ke baad. In teeno time mein jab aap isko padhte hain rozana apne wird mein rakhte hain toh aapko phir kisi dushman par tawajjo karne ki zarurat nahin hai. Aapne sirf ye niyyat karni hai mere nazar aane wale na nazar aane wale insan hain, jinnat hain jo kuch bhi ho dushman za’er ho. Bas in waseelon se, in waston ki barkat se ye aap padhen 72 martaba isko Fajr ke baad ya Zawal ke waqt mein Zohar se pehle ka waqt hota hai ya raat 12:00 baje ke baad. Hamari behnen bhi kar sakti hain, betiyan bhi kar sakti hain aur har tabiyat har haal mein kar sakti hain. Aap dekhenge ke thode arse ke baad agar 72 din rozana 72 martaba aapne padh liya toh aapke dushman khatam ho jayenge, za’er ho jayenge, barbaad ho jayenge. Iske aur bhi bahut sare tareeqe hain ke kankiyon pe padhkar aag mein daal den ya phir kaante pe padhkar uske ghar mein daal de, qabar ki mitti mein daal de, masaan ki mitti mein aur bhi bahut sare tareeqe hain magar woh yahan par zikr karna maqsood nahin hai. Ye main aapko wird ki niyyat se. Ab jo log 72 martaba nahin padh sakte woh is amal ko rozana 41 martaba padh len. Jo 41 martaba nah.
in padh sakta woh Fajr ke baad 11 martaba apne wird mein rakhen. Ye pure teen tareeqe hain. Is amal ki barkat se aap yeh dekhenge ke aapko ghaibi quwwat protect kar rahi hai, aapka hisar ho raha hai, aapke dushman zaleel aur ruswa ho rahe hain aur din-ba-din jo hai aapki tabiyat mein jo hai jitne bhi dushmanon ki wajah se, jinnat ki nazar-e-bad ki wajah se, insanon ki nazar-e-bad ki wajah se jo aapke jism par rukawat rehti thi, aapke kaam mein rukawat rehti thi, aapko nazar-e-bad rehti thi woh sab ki sab aap dekhenge ke door hoti ja rahi hai. Yeh tohfatan meri taraf se aap sabko ijazat hai. Allah Kareem aap sabko is amal ki barkat ata farmaaye. Insha’Allah Azzawajal aane wali videos ab aap Peer aur Mangal ko videos dekhenge, Budh ko hum koshish karenge Dars-e-Tasawwuf aur Jumerat ko Istikhara program karen. Toh Insha’Allah aap videos mein Bismillahir Rahmanir Raheem ke amaal dekhenge aur unko aap dekhte rahiye. Apna bhi khayal rakhiye. Langar-e-Hussaini mein shamil hote rahiye. Jinhone super chat kiya aaj ke din Maula Panjtan Pak ke sadqe se Allah Ta’ala unko barkat ata farmaaye. Ji, amal ki zakat aur amal ki zakat aur ba-mukil amal mein farq toh nahin hai. Ek ba-mukil amal hota hai, ek amal ki zakat ada kijiye, ya’ni zakat toh ek khaas tareeqa hota hai na, 40 din, 3 din, 11 din jo buzurgon ne likha. Toh woh kehte hain ke bhai aap is amal ki itni zakat ada karen, ya’ni itni tadaad mein itne din padhen. Ba-mukil amal, amal hota hai uski bhi zakat ada ki jaati hai woh bhi kabhi 40 din ka hota hai, kabhi 72 din ka hota hai, kabhi 360 din ka hota hai, kabhi 11 din ka hota hai. Yeh hota hai. Uske saath saath next month teen roza roohani ijtima’a ka aa raha hai ab Insha’Allah uski taiyari hogi. Mah-e-Safar-ul-Muzaffar ki main apne tamam students se, mureedon se, shagirdon se, ahle mohabbat se, Tariqiya Ruhani Center ke channel se wabasta har fard se kahunga ke Mah-e-Safar ke andar Hisnul Bahr Sharif ka amal zarur karen. Har mard-o-khawateen, naujawan bachche, 12 saal ke bachche se lekar 60 saal ki umar tak ka fard is amal ko kare. 12 saal ki bachchi se lekar 60 saal tak ki khaatoon bhi is amal ko kar sakti hai. Zarur karen. Har idare mein karayen, masjidoon mein karayen, apni khanqahon mein karayen. Insha’Allah iski barkat aap dekhenge. Teen roza roohani ijtima’a Punjab mein, Karachi mein meri sarparasti aur nigrani mein Insha’Allah Mian Huzoor ke faizan se hoga. Uski tafseelat aayengi aur jo log duniya bhar mein maujood hain hamari nigrani mein chhah, saat, aath Safar ko Hisbul Bahr Sharif ka amal karna chahte hain uske liye form tehreer kiya jayega. Insha’Allah 14 Muharram ko woh form upload ho jayega hamari website par. Ijazatnama hoga jo ki aap form ko fill kar.
enge goya ke woh ijazatnama hai aur Insha’Allah phir aap Dua-e-Hisnul Bahr Sharif ka amal karenge. Saath hi main ye kahunga ke Dua-e-Hisnul Bahr Sharif ke ijtima’a mein kaseer ikhrajaat hote hain. Aane wale log jo shamil hote hain unko langar, ta’aam-o-qayam ki tamamtam sahoolat idara deta hai aur aap logon ke ta’awun se deta hai. Jitne bhi ahbab Hisnul Bahr Sharif ka amal karein kam se kam Panjtan Pak ki nisbat se yaar ₹500 donation kar do. 11wi wale Aqa ki nisbat se Ghaus Pak ki ₹1100 kar do. Jisne Allah ne jisko zyada taufeeq di woh zyada kar de. Langar mein uski taiyari mein aane jaane mein kayi log amal karne wale aise hote hain jinko ehtiram pesh kar diya jaata hai ke usko kiraya de diya jaata hai. Phir qayam mein khana teen din ka sehri, iftar uske baad ijtima’a ke baad ka khana. Ye bahut kuch kharcha hota hai aur zakireen par kharch karna ye badi sa’adat ki baat hai. Khushnaseeb logon ka paisa zakireen par kharch hota hai. Allah Kareem maine abhi se isliye keh diya ke aap abhi se zehan bana len, taiyar ho jayen. Neki ki niyyat abhi se karenge Allah Ta’ala aapko barkat de dega. Duaon mein yaad rakhiye. Apna khayal rakhiye. Assalamu Alaikum Rahmatullahi Wa Barakatuh. Bimariyon se pareshan hone ki koi zarurat nahin kyunki hum pesh kar rahe hain Madina Munawwara Sharif ka 100% khaalis tayyar karda Ajwa Powder jo de aapko jadoo, jinnat aur aseebzada bimariyon se mukammal nijaat. Pet aur jigar ke cancer ko roke, heart attack aur bypass se hifazat kare, mard aur khawateen ki zaahiri aur andaruni kamzori ka kamyab hal. Ajwa Powder 0310280743 0310.

